Ghazal SMS

latest ghazal sms & text messages

 
 

Ghazal SMS & Text Messages

  • Ajjub takazey hain chahatoon k,,
    Bari kathan ye musaftain hain..

    Mai jis ki rahoon mai bichh geya hon,,
    Ussi ko mujh sy shikaytain hain..

    Shikaytain sub bajaa hain lykin,,
    Mai kaise us ko yaqeen dilaon..

    Jo mujh ko jaan sy Aziz-tar hain,,
    Ussy bhulaon to marr na jaon..

    Mai iss khamoshi k imtehan mai,,
    kahan kahan se guzar gyia hoon..

    Ussy khabar b nhi hy shayad,,
    mai dhery dhery Bikhar gyia hoon…

  • *¤*GHAZAL*¤*

    Kabi zid mein teray ho gaye,
    Kabi dil nay tujhay ganwa dia.
    Essi kashmakash mein rahay sada,
    Tu nay yaad rakha ya bhula dia.
    Kabi baibasi mein hans diye kabi hansi nay hum ko rula dia. kabi phool se rahe dosti
    Kabi hath kanton se mila dia.
    Kabhi aik ko apna na kr saky
    Kabi khud ko sab ka bana dia.
    Yun he din guzar gaye payar k,
    Kabi ik khawab khud ko bana liya.
    Jo khawab ubhray in aankhun me
    unhain aankh me he sula dia…

  • Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
    woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

    woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
    aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

    teri awaaz k sehar se na nikal paana
    tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

    bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
    na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon

    bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
    k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai

    magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
    terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

    tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
    teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

    tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
    woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

  • Qismat

    Yaadon ne teri mujhko ghafil na hone diya.
    Raat phir bohat der tak sone nahi diya.
    Dil gham se choor tha aankhen udas thin.
    Chahat ne mujhko teri rone nahi diya.
    Me manzil ki talash me bohat door tak nikal gaya.
    Baton ne teri mujhko phir khone nahi diya.
    zakhmi wajood ko lekar kahan jaon me.
    Apno ne mujhko apna hone nahi diya.
    Kismat me tera mera saath na tha shayad.
    Halat ne b mujko tera hone nahi diya

  • uth uth k kisi ka intzar kr k dekhna

    Kbhi kisi se piyar kr k dekhna

    Kaese toot-te hein Mohabton k rishty

    Ghaltiyan do char kr k dekhna

    Zindagi ka falsafa samjhna ho to

    Barish mei kachi diwar khari kr k dekhna

    Nafrat ho jaye gi tum ko b dunyia se

    Mohabat kisi se beshumar kr k dekhna

  • Bharam

    Toot jae na bharam,hont hilaon kese..!
    Haal jesa bhi hy,logon ko sunaon kese…!
    Khushk ankhon se bhi ashkon ki mahik aati hy
    Main tere gham ko zamane se chupaon kese…!
    TU hi bata meri yaadon ko bhulane wale…!
    Main teri yaad ko is DIL se bhulaon kese.!
    Phool hota to tere dar pe sajja bhi rahta
    ZAKHM le kar teri dahleez par aon kese…!
    Tu rulata hy to rulaa mujhe ji bhar k….!
    Teri ankhen hain meri,main in ko rulaon kese.

  • Ankhøn mei smaa jaty ya dil mei utar jaty

    Dønøn ka bhala høta dønøn hi sanwar jaty

    Miltay tø ye acha tha jeevan ki musafat mei

    Kuch faaslay kam høtay kuch Røz guzar jaty

    Døøri b ghanimat hai ik Aas tø hy wrna

    Jø Aas pe jeetay hain wø løg bikhar jaty

    Kuch røz judai k es haal mei b guzray

    Hanstay huway rø detay røtay huway gir jaty

    Manzil na thikana hy acha hy nahi kuch b

    Ruktay tø kahan ruktay jaty tø kidhar jaty

Page 4 of 14« First...345...10...Last »

Login





Register | Lost your password?
 


Girls Mobile Numbers