Poems SMS
latest poems sms & text messages
Poems SMS & Text Messages
-
Yeh Duniya Hai
Dec 21
Usay kehna ye dunia hai
Yahan har morr pe aisay bohat say log miltay hain
Jo andar tak utrtay hain
Abad tak sath rehnay ki
Ikathay dard sehnay ki
Hamesha baat kartay hain
Usay kehna ye dunia hai
Yahan har shaks matlab ki
Hadon tak sath chalta hai
Junhi mosam badlta hai
Muhabat k sabi daway
Sabi qasmain,sabi waday
Achanak toot jatay hain
Usay kehna ye dunia hai
Yahan har morr pay apni
Sadaa ankhain khuli rakhna
-
Har Khushi Meri
Dec 19
wo ek masoom si chahat’
wo ek be’nam si ulfat’
wo mere zat ka hissa’
wo meri zeest ka qissa.Mujhe mehsos hota hay
wo mery pas hay ab b’
Mey Us’ko bhool kr b’
Bhol na paya kbhi b….wo jb jb yaad ata hay’
Nigahon may samata hay’
Zuban khamosh hoti hay’
Mgr ye aankh roti hay…..Mey khud se poch leta hoon’
Jise may yad krta hu’
Osay kya pyar tha mjh’sy’
Jwaban soch leta hun.Usay b pyar tha Shayad’
Issi,Shayad se wabasta
hy ab to hr khushi meri. .: -
Patjhad
Dec 17
Tum ko ik Talkh Haqeeqat bhi bata dete hain.
Jis ko aksar ye Log chupa dete hain.
Tum ne girty hoy pattoon ko to dekha ho ga,
Apni har saans wo Tehni per ganwa dete hain.
Kiya khoob sajate hain baharon mein Shajar ko,
Kari dhoop mein apna aap jala dete hain.
Kitne Bay Rahem Shajar hain Nae Pattoon ki khushi mein,
Peele Pattoon ko Khizaon mein gira dete hain.
Aur jo girte hain Qadmon mein Shajar k,
Log unhi pattoon ko pairon sy daba dete hain. -
Ijazat
Dec 17
-
Mera Humsafar
Dec 16
-
Woh Shakhs
Dec 15
“Mujhe wo lakh tarpaye mgr us shaks ki khatir”
“Meray dil k andheron mein duain raks krti hain”
“Usay kehna k lot aaye sulgti shaam se pehlay”
“Kisi ki khushk ankhon mein sadain raks krti hain”
“Khuda janay kesi kashish hai uski yaadon mein”
“Mein uska zikr cheron to hawain raks krti hain.
-
Raat Baaki Hai
Nov 21
Abhi to raat baaqi hai..Yeh dhal jaye to so jana,
Ghari bhar ko dil-e-nadan sambhal
jaye to so jana..Ye jalte hont or ye neend mein doobi hui ankhen,
Zara thehro mujhe bhi neend aa jaye to so jana..
Haseen ho tm…
Tumhen kia gham
Tumhe to neend pyari hai,Hamara haal mat pucho k hum par raat bhaari hai..
Hamarey sar Qayamat hai,
Ye tal jaye to so jana..Abhi to rat baqi hai yai dhal jai tu so jana…!



