Poems SMS
latest poems sms & text messages
Yeh Duniya Hai
Usay kehna ye dunia hai
Yahan har morr pe aisay bohat say log miltay hain
Jo andar tak utrtay hain
Abad tak sath rehnay ki
Ikathay dard sehnay ki
Hamesha baat kartay hain
Usay kehna ye dunia hai
Yahan har shaks matlab ki
Hadon tak sath chalta hai
Junhi mosam badlta hai
Muhabat k sabi daway
Sabi qasmain,sabi waday
Achanak toot jatay hain
Usay kehna ye dunia hai
Yahan har morr pay apni
Sadaa ankhain khuli rakhna



